muhayyā sab hai ab asbāb-e-holī
uTho yaaro bharo rañgoñ se jholī
idhar yaar aur udhar ḳhūbāñ saf-ārā
tamāsha hai tamāsha hai tamāsha
chaman meñ dhūm-o-ġhul chāroñ taraf hai
idhar Dholak udhar āvāz-e-daf hai
idhar āshiq udhar ma.ashūq kī saf
nashshe meñ mast o har yak jām-ba-kaf
gulāl abraq se sab bhar bhar ke jholī
pukāre yak-ba-yak holī hai holī
lagī pichkāriyoñ kī maar hone
har ik suuñ rañg kī bauchhār hone
koī hai sāñvarī koī hai gorī
koī champā baran umroñ meñ thoḌī
muhayya sab hai ab asbab-e-holi
uTho yaro bharo rangon se jholi
idhar yar aur udhar KHuban saf-ara
tamasha hai tamasha hai tamasha
chaman mein dhum-o-ghul chaaron taraf hai
idhar Dholak udhar aawaz-e-daf hai
idhar aashiq udhar mashuq ki saf
nashshe mein mast o har yak jam-ba-kaf
gulal abraq se sab bhar bhar ke jholi
pukare yak-ba-yak holi hai holi
lagi pichkariyon ki mar hone
har ek sun rang ki bauchhaar hone
koi hai sanwari koi hai gori
koi champa baran umron mein thoDi
Source :
- Book : Hindustan Hamara-1 (Pg. 250)
- Author : Jan Nisar Akhtar
-
Publication : B.K. Offset Navin Shahdara Delhi-110032
(2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.