ab ke sawan mein shararat ye mere sath hui
ab ke sāvan meñ sharārat ye mire saath huī
merā ghar chhoḌ ke kul shahr meñ barsāt huī
aap mat pūchhiye kyā ham pe safar meñ guzrī
thā luTeroñ kā jahāñ gaañv vahīñ raat huī
zindagī bhar to huī guftugū ġhairoñ se magar
aaj tak ham se hamārī na mulāqāt huī
har ġhalat moḌ pe Tokā hai kisī ne mujh ko
ek āvāz tirī jab se mire saath huī
maiñ ne sochā ki mire desh kī hālat kyā hai
ek qātil se tabhī merī mulāqāt huī
ab ke sawan mein shararat ye mere sath hui
mera ghar chhoD ke kul shahr mein barsat hui
aap mat puchhiye kya hum pe safar mein guzri
tha luTeron ka jahan ganw wahin raat hui
zindagi bhar to hui guftugu ghairon se magar
aaj tak hum se hamari na mulaqat hui
har ghalat moD pe Toka hai kisi ne mujh ko
ek aawaz teri jab se mere sath hui
main ne socha ki mere desh ki haalat kya hai
ek qatil se tabhi meri mulaqat hui
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.