ziyaada kuchh nahin mar jaenge kisi din hum
ziyāda kuchh nahīñ mar jā.eñge kisī din ham
har ek shai se mukar jā.eñge kisī din ham
har ek jagah bhaTakte phireñge saarī 'umr
bil-āḳhir apne hī ghar jā.eñge kisī din ham
na dekh roz haqārat se is qadar ham ko
koī to kaam bhī kar jā.eñge kisī din ham
tumhārī raah meñ har chiiz to luTā Daalī
ye jism-o-jān bhī dhar jā.eñge kisī din ham
tamāshā lafz o bayāñ kā bhī kab talak 'māmūn'
ki jism-o-jāñ se utar jā.eñge kisī din ham
ziyaada kuchh nahin mar jaenge kisi din hum
har ek shai se mukar jaenge kisi din hum
har ek jagah bhaTakte phirenge sari 'umr
bil-aKHir apne hi ghar jaenge kisi din hum
na dekh roz haqarat se is qadar hum ko
koi to kaam bhi kar jaenge kisi din hum
tumhaari rah mein har chiz to luTa Dali
ye jism-o-jaan bhi dhar jaenge kisi din hum
tamasha lafz o bayan ka bhi kab talak 'mamun'
ki jism-o-jaan se utar jaenge kisi din hum
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 331)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.