nargisistan ki bhi Tuk dekho phaban aaine mein
nargisistan ki bhi Tuk dekho phaban aaine mein
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
nargisistāñ kī bhī Tuk dekho phaban ā.īne meñ
baaġh mat jaao ki hai amn-o-chaman ā.īne meñ
lahreñ letā hai paḌā machchhī bhavan ā.īne meñ
chuum le tū hī bhalā apnā dahan ā.īne meñ
raaja nal kā jo paḌā aks-e-dahan ā.īne meñ
to nazar aa.ī use shakl-e-daman ā.īne meñ
kyūñki maiñ jaise ko taisā hī na phir aa.uuñ nazar
ya.anī kyā ma.anī na ho ā.īna-pan ā.īne meñ
madh pe joban ke chaḌhe aise hī the vo to ki bas
aa ga.e nashe meñ dekh apnī phaban ā.īne meñ
tevar aise hī halākū haiñ jo kuchh bas ho to vo
aks-e-ādam ko kareñ gor-o-kafan ā.īne meñ
shaġhl-e-ā.īna se lazzat ye uThā.ī hai ki bas
ham faqīroñ ne kiyā apnā vatan ā.īne meñ
sho.ale aahoñ ke badan apne se haiñ yuuñ hī numūd
mun.akis jaise ho sūraj kī kiran ā.īne meñ
hauz-e-ā.īna se favvāra nazākat kā chhuTe
raunaq-afzā jo ho vo chāh-e-zaqan ā.īne meñ
vaah is tiflī o is shakl-e-javānī ke badal
sāmne hoveñge ik mard-e-kuhan ā.īne meñ
dekh kar apnī bahār us ne ye 'inshā' se kahā
baaġh meñ kab hai chaman jo hai chaman ā.īne meñ
nargisistan ki bhi Tuk dekho phaban aaine mein
bagh mat jao ki hai amn-o-chaman aaine mein
lahren leta hai paDa machchhi bhawan aaine mein
chum le tu hi bhala apna dahan aaine mein
raja nal ka jo paDa aks-e-dahan aaine mein
to nazar aai use shakl-e-daman aaine mein
kyunki main jaise ko taisa hi na phir aaun nazar
yani kya mani na ho aaina-pan aaine mein
madh pe joban ke chaDhe aise hi the wo to ki bas
aa gae nashe mein dekh apni phaban aaine mein
tewar aise hi halaku hain jo kuchh bas ho to wo
aks-e-adam ko karen gor-o-kafan aaine mein
shaghl-e-aina se lazzat ye uThai hai ki bas
hum faqiron ne kiya apna watan aaine mein
shoale aahon ke badan apne se hain yun hi numud
munakis jaise ho suraj ki kiran aaine mein
hauz-e-aina se fawwara nazakat ka chhuTe
raunaq-afza jo ho wo chah-e-zaqan aaine mein
wah is tifli o is shakl-e-jawani ke badal
samne howenge ek mard-e-kuhan aaine mein
dekh kar apni bahaar us ne ye 'insha' se kaha
bagh mein kab hai chaman jo hai chaman aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.