KHanjar-e-shab jo utar jaenge aankhon mein meri
ḳhanjar-e-shab jo utar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī
manzar-e-rafta Thahar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī
zulm sahne ke liye rakhtā huuñ patthar kā jigar
ashk-e-ġham yūñhī na bhar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī
hogā baazū se numāyāñ mirī jur.at kā kamāl
hādse jab bhī Thahar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī
jab bhī aa.egā mujhe ahd-e-guzishta kā ḳhayāl
kitne tūfāñ se biphar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī
kis tarah ḳhud meñ utāreñge sahar kā nashsha
zaḳhm-e-shab nīñdeñ jo dhar jā.eñge āñkhoñ meñ mirī
KHanjar-e-shab jo utar jaenge aankhon mein meri
manzar-e-rafta Thahar jaenge aankhon mein meri
zulm sahne ke liye rakhta hun patthar ka jigar
ashk-e-gham yunhi na bhar jaenge aankhon mein meri
hoga bazu se numayan meri jurat ka kamal
hadse jab bhi Thahar jaenge aankhon mein meri
jab bhi aaega mujhe ahd-e-guzishta ka KHayal
kitne tufan se biphar jaenge aankhon mein meri
kis tarah KHud mein utarenge sahar ka nashsha
zaKHm-e-shab ninden jo dhar jaenge aankhon mein meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.