zindagi unki chah mein guzri
zindagī un kī chaah meñ guzrī
mustaqil dard-o-āh meñ guzrī
rahmatoñ se nibāh meñ guzrī
umr saarī gunāh meñ guzrī
haa.e vo zindagī kī ik saa.at
jo tirī bārgāh meñ guzrī
sab kī nazroñ meñ sar-buland rahe
jab tak un kī nigāh meñ guzrī
maiñ vo ik rahrav-e-mohabbat huuñ
jis kī manzil bhī raah meñ guzrī
ik ḳhushī ham ne dil meñ chāhī thī
vo bhī ġham kī panāh meñ guzrī
zindagī apnī ai 'shakīl' ab tak
talḳhī-e-rasm-o-rāh meñ guzrī
zindagi un ki chah mein guzri
mustaqil dard-o-ah mein guzri
rahmaton se nibah mein guzri
umr sari gunah mein guzri
hae wo zindagi ki ek saat
jo teri bargah mein guzri
sab ki nazron mein sar-buland rahe
jab tak un ki nigah mein guzri
main wo ek rahraw-e-mohabbat hun
jis ki manzil bhi rah mein guzri
ek KHushi hum ne dil mein chahi thi
wo bhi gham ki panah mein guzri
zindagi apni ai 'shakil' ab tak
talKHi-e-rasm-o-rah mein guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.