zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
zindagī jabr hai aur jabr ke āsār nahīñ
haa.e is qaid ko zanjīr bhī darkār nahīñ
be-adab girya-e-mahrūmi-e-dīdār nahīñ
varna kuchh dar ke sivā hāsil-e-dīvār nahīñ
āsmāñ bhī tire kūche kī zamīñ hai lekin
vo zamīñ jis pe tirā sāya-e-dīvār nahīñ
haa.e duniyā vo tirī surma-taqāza āñkheñ
kyā mirī ḳhaak kā zarra koī bekār nahīñ
zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin
be-adab girya-e-mahrumi-e-didar nahin
warna kuchh dar ke siwa hasil-e-diwar nahin
aasman bhi tere kuche ki zamin hai lekin
wo zamin jis pe tera saya-e-diwar nahin
hae duniya wo teri surma-taqaza aankhen
kya meri KHak ka zarra koi bekar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.