zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun
zindān-e-sub.h-o-shām meñ tū bhī hai maiñ bhī huuñ
ik gardish-e-mudām meñ tū bhī hai maiñ bhī huuñ
be-farsh-o-bām silsila-e-kā.enāt ke
is be-sutūñ nizām meñ tū bhī hai maiñ bhī huuñ
be-sāl-o-sin zamānoñ meñ phaile hue haiñ ham
be-rañg-o-nasl naam meñ tū bhī hai maiñ bhī huuñ
is dā.imī hisār meñ ham ko mafar kahāñ
zarroñ ke azhdahām meñ tū bhī hai maiñ bhī huuñ
har tīrah-fām sub.h kā virsa hai mushtarak
har nūr-dīda shaam meñ tū bhī hai maiñ bhī huuñ
zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun
ek gardish-e-mudam mein tu bhi hai main bhi hun
be-farsh-o-baam silsila-e-kaenat ke
is be-sutun nizam mein tu bhi hai main bhi hun
be-sal-o-sin zamanon mein phaile hue hain hum
be-rang-o-nasl nam mein tu bhi hai main bhi hun
is daimi hisar mein hum ko mafar kahan
zarron ke azhdaham mein tu bhi hai main bhi hun
har tirah-fam subh ka wirsa hai mushtarak
har nur-dida sham mein tu bhi hai main bhi hun
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 177)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.