zamin pe chand ka partaw zara sa sahma tha
zamīñ pe chāñd kā partav zarā sā sahmā thā
ḳhizāñ ne shāḳh se jab pahlā phuul toḌā thā
sunahrī dhuup jo bahtī thī us ke māthe par
usī meñ rang-e-tamannā kā ek saaya thā
ham ek shahr meñ the ik nadī kī duurī par
aur us nadī meñ koī aur vaqt bahtā thā
ye jis track pe phūloñ ke naqsh milte haiñ
vo ek shaam isī rāste se guzrā thā
ye shahr dūsrā hai jis meñ niiñd TuuTī hai
vo ghar kahāñ hai jahāñ raat thak ke soyā thā
zamin pe chand ka partaw zara sa sahma tha
KHizan ne shaKH se jab pahla phul toDa tha
sunahri dhup jo bahti thi us ke mathe par
usi mein rang-e-tamanna ka ek saya tha
hum ek shahr mein the ek nadi ki duri par
aur us nadi mein koi aur waqt bahta tha
ye jis track pe phulon ke naqsh milte hain
wo ek sham isi raste se guzra tha
ye shahr dusra hai jis mein nind TuTi hai
wo ghar kahan hai jahan raat thak ke soya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.