zabt ki had se ho ke guzarna so jaana
zabt kī had se ho ke guzarnā so jaanā
raat ga.e tak bāteñ karnā so jaanā
rozānā kī dīvāroñ se Takrā kar
reza reza ho ke bikharnā so jaanā
din bhar hijr ke zaḳhmoñ kī marham-kārī
raat ko tere vasl meñ marnā so jaanā
mujh ko ye āsūda-mizājī tum ne dī
sāñsoñ kī ḳhushbū se sañvarnā so jaanā
hoñToñ par ik baar sajā kar apne hoñT
us ke baad na bāteñ karnā so jaanā
apnī qismat meñ bhī kyā likkhā hai 'atīq'
bāñhoñ kī vaadī meñ utarnā so jaanā
zabt ki had se ho ke guzarna so jaana
raat gae tak baaten karna so jaana
rozana ki diwaron se Takra kar
reza reza ho ke bikharna so jaana
din bhar hijr ke zaKHmon ki marham-kari
raat ko tere wasl mein marna so jaana
mujh ko ye aasuda-mizaji tum ne di
sanson ki KHushbu se sanwarna so jaana
honTon par ek bar saja kar apne honT
us ke baad na baaten karna so jaana
apni qismat mein bhi kya likkha hai 'atiq'
banhon ki wadi mein utarna so jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.