yun to wo har kisi se milti hai
yuuñ to vo har kisī se miltī hai
ham se apnī ḳhushī se miltī hai
sej mahkī badan se sharmā kar
ye adā bhī usī se miltī hai
vo abhī phuul se nahīñ miltī
jūhiye kī kalī se miltī hai
din ko ye rakh-rakhāv vaalī shakl
shab ko dīvāngī se miltī hai
āj-kal aap kī ḳhabar ham ko!
ġhair kī dostī se miltī hai
shaiḳh-sāhib ko roz kī roTī
raat bhar kī badī se miltī hai
aage aage junūn bhī hogā!
sher meñ lau abhī se miltī hai
yun to wo har kisi se milti hai
hum se apni KHushi se milti hai
sej mahki badan se sharma kar
ye ada bhi usi se milti hai
wo abhi phul se nahin milti
juhiye ki kali se milti hai
din ko ye rakh-rakhaw wali shakl
shab ko diwangi se milti hai
aaj-kal aap ki KHabar hum ko!
ghair ki dosti se milti hai
shaiKH-sahib ko roz ki roTi
raat bhar ki badi se milti hai
aage aage junun bhi hoga!
sher mein lau abhi se milti hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Mouj meri sadaf sadaf) (Pg. 90)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.