yun to pahle bhi hue us se kai bar juda
yuuñ to pahle bhī hue us se ka.ī baar judā
lekin ab ke nazar aate haiñ kuchh āsār judā
gar ġham-e-sūd-o-ziyāñ hai to Thahar jā ai jaañ
ki isī moḌ pe yāroñ se hue yaar judā
do ghaḌī us se raho duur to yuuñ lagtā hai
jis tarah sāya-e-dīvār se dīvār judā
ye judā.ī kī ghaḌī hai ki jhaḌī sāvan kī
maiñ judā girya-kunāñ abr judā yaar judā
kaj-kulāhoñ se kahe kaun ki ai be-ḳhabroñ
tauq-e-gardan se nahīñ turra-e-dastār judā
kū-e-jānāñ meñ bhī ḳhāsā thā tarah-dār 'farāz'
lekin us shaḳhs kī saj-dhaj thī sar-e-dār judā
yun to pahle bhi hue us se kai bar juda
lekin ab ke nazar aate hain kuchh aasar juda
gar gham-e-sud-o-ziyan hai to Thahar ja ai jaan
ki isi moD pe yaron se hue yar juda
do ghaDi us se raho dur to yun lagta hai
jis tarah saya-e-diwar se diwar juda
ye judai ki ghaDi hai ki jhaDi sawan ki
main juda girya-kunan abr juda yar juda
kaj-kulahon se kahe kaun ki ai be-KHabron
tauq-e-gardan se nahin turra-e-dastar juda
ku-e-jaanan mein bhi KHasa tha tarah-dar 'faraaz'
lekin us shaKHs ki saj-dhaj thi sar-e-dar juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.