yun teri rahguzar se diwana-war guzre
yuuñ terī rahguzar se dīvāna-vār guzre
kāñdhe pe apne rakh ke apnā mazār guzre
baiThe haiñ rāste meñ dil kā khañDar sajā kar
shāyad isī taraf se ik din bahār guzre
dār-o-rasan se dil tak sab rāste adhūre
jo ek baar guzre vo bār-bār guzre
bahtī huī ye nadiyā ghulte hue kināre
koī to paar utre koī to paar guzre
masjid ke zer-e-sāya baiThe to thak-thakā kar
bolā har ik mināra tujh se hazār guzre
qurbān is nazar pe mariyam kī sādgī bhī
saa.e se jis nazar ke sau kirdgār guzre
tū ne bhī ham ko dekhā ham ne bhī tujh ko dekhā
tū dil hī haar guzrā ham jaan haar guzre
yun teri rahguzar se diwana-war guzre
kandhe pe apne rakh ke apna mazar guzre
baiThe hain raste mein dil ka khanDar saja kar
shayad isi taraf se ek din bahaar guzre
dar-o-rasan se dil tak sab raste adhure
jo ek bar guzre wo bar-bar guzre
bahti hui ye nadiya ghulte hue kinare
koi to par utre koi to par guzre
masjid ke zer-e-saya baiThe to thak-thaka kar
bola har ek minara tujh se hazar guzre
qurban is nazar pe mariyam ki sadgi bhi
sae se jis nazar ke sau kirdgar guzre
tu ne bhi hum ko dekha hum ne bhi tujh ko dekha
tu dil hi haar guzra hum jaan haar guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.