yun hua hai chaak malbus-e-yaqin silta nahin
yuuñ huā hai chaak malbūs-e-yaqīñ siltā nahīñ
pheñk denā bhī hai mushkil dūsrā miltā nahīñ
ḳhvāb jo dekhe na the un kī sazā to mil ga.ī
bārhā dekhā jinheñ un kā sila miltā nahīñ
chal rahī hai saañs kī āñdhī uḌā jaatā hai dil
aas kā pattā hai aisā Daal se hiltā nahīñ
merī himmat dekhiye is dasht meñ letā huuñ saañs
naqsh-e-pā-e-bād bhī jis dasht meñ miltā nahīñ
yun hua hai chaak malbus-e-yaqin silta nahin
phenk dena bhi hai mushkil dusra milta nahin
KHwab jo dekhe na the un ki saza to mil gai
barha dekha jinhen un ka sila milta nahin
chal rahi hai sans ki aandhi uDa jata hai dil
aas ka patta hai aisa Dal se hilta nahin
meri himmat dekhiye is dasht mein leta hun sans
naqsh-e-pa-e-baad bhi jis dasht mein milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.