ye zamin kyon mujhe bhai mujhe malum nahin
ye zamīñ kyoñ mujhe bhaa.ī mujhe ma.alūm nahīñ
kyoñ ġhazal aur banā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
ḳhud-baḳhud raah liye jaatī hai us kī jānib
ab kahāñ tak hai rasā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
be-ḳhayālī meñ kisī saañp kī gardan pakḌī
yā kisī kī hai kalā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
be-ḳhudī pūchh rahī hai ki hai kis kā ye sher
sher detā hai duhā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
sard mausam mujhe kuchh aur bhī dahkātā hai
tāpnā aag parā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
sīm-o-zar ḳhaam liye huuñ maiñ zamīñ kī sūrat
kaise hotī hai safā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
maiñ ne ḳhud apne ḳhayāloñ meñ gaḌhā us kā jamāl
yā ḳhudā kī hai ḳhudā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
aḳhz kartā huuñ maiñ ḳhud apnī jaḌoñ se paanī
dūsrī koī siñchā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
gardish-e-charḳh meñ pastī-o-bulandī kaisī
farq-e-shāhī-o-gadā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
ishq meñ kuudo agar shauq hai marne kā bahut
is se gahrī koī khaa.ī mujhe ma.alūm nahīñ
ye zamin kyon mujhe bhai mujhe malum nahin
kyon ghazal aur banai mujhe malum nahin
KHud-baKHud rah liye jati hai us ki jaanib
ab kahan tak hai rasai mujhe malum nahin
be-KHayali mein kisi sanp ki gardan pakDi
ya kisi ki hai kalai mujhe malum nahin
be-KHudi puchh rahi hai ki hai kis ka ye sher
sher deta hai duhai mujhe malum nahin
sard mausam mujhe kuchh aur bhi dahkata hai
tapna aag parai mujhe malum nahin
sim-o-zar KHam liye hun main zamin ki surat
kaise hoti hai safai mujhe malum nahin
main ne KHud apne KHayalon mein gaDha us ka jamal
ya KHuda ki hai KHudai mujhe malum nahin
aKHz karta hun main KHud apni jaDon se pani
dusri koi sinchai mujhe malum nahin
gardish-e-charKH mein pasti-o-bulandi kaisi
farq-e-shahi-o-gadai mujhe malum nahin
ishq mein kudo agar shauq hai marne ka bahut
is se gahri koi khai mujhe malum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.