ye kaun aata hai tanhaiyon mein jam liye
ye kaun aatā hai tanhā.iyoñ meñ jaam liye
jilau meñ chāñdnī rātoñ kā ehtimām liye
chaTak rahī hai kisī yaad kī kalī dil meñ
nazar meñ raqs-e-bahārāñ kī sub.h-o-shām liye
hujūm-e-bādā-o-gul meñ hujūm-e-yārāñ meñ
kisī nigāh ne jhuk kar mire salām liye
kisī ḳhayāl kī ḳhushbū kisī badan kī mahak
dar-e-qafas pe khaḌī hai sabā payām liye
mahak mahak ke jagātī rahī nasīm-e-sahar
laboñ pe yār-e-masīhā-nafas kā naam liye
bajā rahā thā kahīñ duur koī shahnā.ī
uThā huuñ āñkhoñ meñ ik ḳhvāb-e-nā-tamām liye
ye kaun aata hai tanhaiyon mein jam liye
jilau mein chandni raaton ka ehtimam liye
chaTak rahi hai kisi yaad ki kali dil mein
nazar mein raqs-e-bahaaran ki subh-o-sham liye
hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaran mein
kisi nigah ne jhuk kar mere salam liye
kisi KHayal ki KHushbu kisi badan ki mahak
dar-e-qafas pe khaDi hai saba payam liye
mahak mahak ke jagati rahi nasim-e-sahar
labon pe yar-e-masiha-nafas ka nam liye
baja raha tha kahin dur koi shahnai
uTha hun aankhon mein ek KHwab-e-na-tamam liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.