ye kaisi pyas hai main jism ke sarab mein hun
ye kaisī pyaas hai maiñ jism ke sarāb meñ huuñ
nikal ke jā.ūñ kidhar kaise iztirāb meñ huuñ
chaTān sar pe liye phir rahā huuñ sadiyoñ se
janam janam se na jaane meñ kis azaab meñ huuñ
tū mujh ko bhūlnā chāhe to bhuul saktā hai
maiñ ek harf-e-tamannā tirī kitāb meñ huuñ
maiñ kyā huuñ kaun huuñ kyā chiiz mujh meñ muzmar hai
ka.ī hijāb uThā.e magar hijāb meñ huuñ
bikhar hī jā.ūñgā ik zarbat-e-sadā to mile
maiñ ek raqs-e-sharar sīna-e-rabāb meñ huuñ
ye kaisi pyas hai main jism ke sarab mein hun
nikal ke jaun kidhar kaise iztirab mein hun
chaTan sar pe liye phir raha hun sadiyon se
janam janam se na jaane mein kis azab mein hun
tu mujh ko bhulna chahe to bhul sakta hai
main ek harf-e-tamanna teri kitab mein hun
main kya hun kaun hun kya chiz mujh mein muzmar hai
kai hijab uThae magar hijab mein hun
bikhar hi jaunga ek zarbat-e-sada to mile
main ek raqs-e-sharar sina-e-rabab mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.