ye jo zindagi hai ye kaun hai
ye jo zindagī hai ye kaun hai
ye jo bebasī hai ye kaun hai
ye tumhāre lams ko kyā huā
ye jo be-hisī hai ye kaun hai
vo jo mere jaisā thā kaun thā
ye jo aap sī hai ye kaun hai
mire chār-sū mire chār-sū
ye jo bekalī hai ye kaun hai
mire añg añg meñ bas ga.ī
ye jo shā.irī hai ye kaun hai
vo jo tīrgī thī vo kaun thī
ye jo raushnī hai ye kaun hai
mujhe kyā ḳhabar mujhe kyā pata
ye jo be-ḳhudī hai ye kaun hai
vo jo ġham se chuur thā kaun thā
jo ḳhushī ḳhushī hai ye kaun hai
vo jo pahlā dard thā kis kā thā
ye jo āḳhirī hai ye kaun hai
ye jo zindagi hai ye kaun hai
ye jo bebasi hai ye kaun hai
ye tumhaare lams ko kya hua
ye jo be-hisi hai ye kaun hai
wo jo mere jaisa tha kaun tha
ye jo aap si hai ye kaun hai
mere chaar-su mere chaar-su
ye jo bekali hai ye kaun hai
mere ang ang mein bas gai
ye jo shairi hai ye kaun hai
wo jo tirgi thi wo kaun thi
ye jo raushni hai ye kaun hai
mujhe kya KHabar mujhe kya pata
ye jo be-KHudi hai ye kaun hai
wo jo gham se chur tha kaun tha
jo KHushi KHushi hai ye kaun hai
wo jo pahla dard tha kis ka tha
ye jo aaKHiri hai ye kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.