ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara
ye jab hai ki ik ḳhvāb se rishta hai hamārā
din Dhalte hī dil Dūbne lagtā hai hamārā
chehroñ ke samundar se guzarte rahe phir bhī
ik aks ko ā.īna tarastā hai hamārā
un logoñ se kyā kahiye ki kyā biit rahī hai
ahvāl magar tū to samajhtā hai hamārā
har moḌ pe paḌtā hai hameñ vāsta is se
duniyā se alag kahne ko rasta hai hamārā
ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara
din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara
chehron ke samundar se guzarte rahe phir bhi
ek aks ko aaina tarasta hai hamara
un logon se kya kahiye ki kya bit rahi hai
ahwal magar tu to samajhta hai hamara
har moD pe paDta hai hamein wasta is se
duniya se alag kahne ko rasta hai hamara
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 362)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.