yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah
yak-ba-yak shorish-e-fuġhāñ kī tarah
fasl-e-gul aa.ī imtihāñ kī tarah
sehn-e-gulshan meñ bahr-e-mushtāqāñ
har ravish khiñch ga.ī kamāñ kī tarah
phir lahū se har ek kāsa-e-dāġh
pur huā jām-e-arġhavāñ kī tarah
yaad aayā junūn-e-gum-gashta
be-talab qarz-e-dostāñ kī tarah
jaane kis par ho mehrbāñ qātil
be-sabab marg-e-nā-gahāñ kī tarah
har sadā par lage haiñ kaan yahāñ
dil sambhāle raho zabāñ kī tarah
yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah
fasl-e-gul aai imtihan ki tarah
sehn-e-gulshan mein bahr-e-mushtaqan
har rawish khinch gai kaman ki tarah
phir lahu se har ek kasa-e-dagh
pur hua jam-e-arghawan ki tarah
yaad aaya junun-e-gum-gashta
be-talab qarz-e-dostan ki tarah
jaane kis par ho mehrban qatil
be-sabab marg-e-na-gahan ki tarah
har sada par lage hain kan yahan
dil sambhaale raho zaban ki tarah
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 357)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.