yahi nahin ki hamin hain yahan bikharte hue
yahī nahīñ ki hamīñ haiñ yahāñ bikharte hue
idhar to dekh rahā huuñ sabhī ko Darte hue
ye dil-fareb charāġhāñ ye qahqahoñ ke hujūm
maiñ Dar rahā huuñ ab is shahar se guzarte hue
tamām raat ham afsurdagān-e-mahfil-e-ḳhvāb
guzārte haiñ sitāroñ se baat karte hue
shafaq kā rañg bhī āñkhoñ meñ abhī baaqī hai
dikhā.ī de rahī hai raat bhī ubharte hue
ye āsmān hai behtar ki āshiyāñ merā
parind soch rahā hai uḌaan bharte hue
ye kārvān-e-badan hai safar-guzār-e-'ḳhayāl'
jaras kī guuñj pe kuchh der ko Thaharte hue
yahi nahin ki hamin hain yahan bikharte hue
idhar to dekh raha hun sabhi ko Darte hue
ye dil-fareb charaghan ye qahqahon ke hujum
main Dar raha hun ab is shahar se guzarte hue
tamam raat hum afsurdagan-e-mahfil-e-KHwab
guzarte hain sitaron se baat karte hue
shafaq ka rang bhi aankhon mein abhi baqi hai
dikhai de rahi hai raat bhi ubharte hue
ye aasman hai behtar ki aashiyan mera
parind soch raha hai uDan bharte hue
ye karwan-e-badan hai safar-guzar-e-'KHayal'
jaras ki gunj pe kuchh der ko Thaharte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.