yahi haalat ibtida se rahe
yahī hālāt ibtidā se rahe
log ham se ḳhafā ḳhafā se rahe
in charāġhoñ meñ tel hī kam thā
kyuuñ gila ham ko phir havā se rahe
bahs shatranj sher mausīqī
tum nahīñ the to ye dilāse rahe
zindagī kī sharāb māñgte ho
ham ko dekho ki pī ke pyāse rahe
us ke bandoñ ko dekh kar kahiye
ham ko ummīd kyā ḳhudā se rahe
yahi haalat ibtida se rahe
log hum se KHafa KHafa se rahe
in charaghon mein tel hi kam tha
kyun gila hum ko phir hawa se rahe
bahs shatranj sher mausiqi
tum nahin the to ye dilase rahe
zindagi ki sharab mangte ho
hum ko dekho ki pi ke pyase rahe
us ke bandon ko dekh kar kahiye
hum ko ummid kya KHuda se rahe
- Book : Lava (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.