yaron ke iKHlas se pahle dil ka mere ye haal na tha
yaron ke iKHlas se pahle dil ka mere ye haal na tha
Akhtar Ansari Akbarabadi
MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi
yāroñ ke iḳhlās se pahle dil kā mire ye haal na thā
ab vo chaknāchūr paḌā hai jis shīshe meñ baal na thā
insāñ aa kar na.ī Dagar par kho baiThā hai hosh-o-havās
pahle bhī behosh thā lekin aisā bhī bad-hāl na thā
gulshan gulshan vīrānī hai jañgal jañgal sannāTā
haa.e vo din jab har manzil meñ shorish-e-ġham kā kaal na thā
kyuuñ re divāne shahr yahī hai ik ik pal bhārī hai jahāñ
apne vīrāne meñ ai dil jī kā ye janjāl na thā
ham jo luTe us shahr meñ jā kar dukh logoñ ko kyuuñ pahuñchā
apnī nazar thī apnā dil thā koī parāyā maal na thā
terī ḳhaak pe raushan raushan 'aḳhtar' jaise sitāre the
tujh sā ai mahrān kī vaadī koī buland-iqbāl na thā
yaron ke iKHlas se pahle dil ka mere ye haal na tha
ab wo chaknachur paDa hai jis shishe mein baal na tha
insan aa kar nai Dagar par kho baiTha hai hosh-o-hawas
pahle bhi behosh tha lekin aisa bhi bad-haal na tha
gulshan gulshan virani hai jangal jangal sannaTa
hae wo din jab har manzil mein shorish-e-gham ka kal na tha
kyun re diwane shahr yahi hai ek ek pal bhaari hai jahan
apne virane mein ai dil ji ka ye janjal na tha
hum jo luTe us shahr mein ja kar dukh logon ko kyun pahuncha
apni nazar thi apna dil tha koi paraya mal na tha
teri KHak pe raushan raushan 'aKHtar' jaise sitare the
tujh sa ai mahran ki wadi koi buland-iqbaal na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.