yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai
yādoñ ke nasheman ko jalāyā to nahīñ hai
ham ne tujhe is dil se bhulāyā to nahīñ hai
kaunain kī vus.at bhī simaT jaatī hai jis meñ
ai dil kahīñ tujh meñ vo samāyā to nahīñ hai
har shai se vo zāhir hai ye ehsān hai us kā
ḳhud ko mirī nazroñ se chhupāyā to nahīñ hai
zulfoñ kī siyāhī meñ ajab husn-e-nihāñ hai
ye raat usī husn kā saayā to nahīñ hai
vāqif haiñ tire dard se ai naġhma-e-ulfat
ham ne tujhe har saaz pe gaayā to nahīñ hai
us ne jo likhā thā kabhī sāhil kī jabīñ par
us naam ko maujoñ ne miTāyā to nahīñ hai
vo shahr kī is bhiiḌ meñ aatā nahīñ 'afzal'
phir bhī chalo dekheñ kahīñ aayā to nahīñ hai
yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai
hum ne tujhe is dil se bhulaya to nahin hai
kaunain ki wusat bhi simaT jati hai jis mein
ai dil kahin tujh mein wo samaya to nahin hai
har shai se wo zahir hai ye ehsan hai us ka
KHud ko meri nazron se chhupaya to nahin hai
zulfon ki siyahi mein ajab husn-e-nihan hai
ye raat usi husn ka saya to nahin hai
waqif hain tere dard se ai naghma-e-ulfat
hum ne tujhe har saz pe gaya to nahin hai
us ne jo likha tha kabhi sahil ki jabin par
us nam ko maujon ne miTaya to nahin hai
wo shahr ki is bhiD mein aata nahin 'afzal'
phir bhi chalo dekhen kahin aaya to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.