mil kar juda hue to na soya karenge hum
mil kar judā hue to na soyā kareñge ham
ik dūsre kī yaad meñ royā kareñge ham
aañsū jhalak jhalak ke satā.eñge raat bhar
motī palak palak meñ piroyā kareñge ham
jab dūriyoñ kī aag diloñ ko jalā.egī
jismoñ ko chāñdnī meñ bhigoyā kareñge ham
bin kar har ek bazm kā mauzū-e-guftugū
sheroñ meñ tere ġham ko samoyā kareñge ham
majbūriyoñ ke zahr se kar leñge ḳhud-kushī
ye buzdilī kā jurm bhī goyā kareñge ham
dil jal rahā hai zard shajar dekh dekh kar
ab chāhatoñ ke biij na boyā kareñge ham
gar de gayā daġhā hameñ tūfān bhī 'qatīl'
sāhil pe kashtiyoñ ko Duboyā kareñge ham
mil kar juda hue to na soya karenge hum
ek dusre ki yaad mein roya karenge hum
aansu jhalak jhalak ke sataenge raat bhar
moti palak palak mein piroya karenge hum
jab duriyon ki aag dilon ko jalaegi
jismon ko chandni mein bhigoya karenge hum
bin kar har ek bazm ka mauzu-e-guftugu
sheron mein tere gham ko samoya karenge hum
majburiyon ke zahr se kar lenge KHud-kushi
ye buzdili ka jurm bhi goya karenge hum
dil jal raha hai zard shajar dekh dekh kar
ab chahaton ke bij na boya karenge hum
gar de gaya dagha hamein tufan bhi 'qatil'
sahil pe kashtiyon ko Duboya karenge hum
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.