dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe
dil meñ rakhtā hai na palkoñ pe biThātā hai mujhe
phir bhī ik shaḳhs meñ kyā kyā nazar aatā hai mujhe
raat kā vaqt hai sūraj hai mirā rāh-numā
der se duur se ye kaun bulātā hai mujhe
merī in āñkhoñ ko ḳhvāboñ se pashemānī hai
niiñd ke naam se jo haul sā aatā hai mujhe
terā munkir nahīñ ai vaqt magar dekhnā hai
bichhḌe logoñ se kahāñ kaise milātā hai mujhe
qissa-e-dard meñ ye baat kahāñ se aa.ī
maiñ bahut hañstā huuñ jab koī sunātā hai mujhe
dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe
phir bhi ek shaKHs mein kya kya nazar aata hai mujhe
raat ka waqt hai suraj hai mera rah-numa
der se dur se ye kaun bulata hai mujhe
meri in aankhon ko KHwabon se pashemani hai
nind ke nam se jo haul sa aata hai mujhe
tera munkir nahin ai waqt magar dekhna hai
bichhDe logon se kahan kaise milata hai mujhe
qissa-e-dard mein ye baat kahan se aai
main bahut hansta hun jab koi sunata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.