koi mausam ho bhale lagte the
koī mausam ho bhale lagte the
din kahāñ itne kaḌe lagte the
ḳhush to pahle bhī nahīñ the lekin
yuuñ na andar se bujhe lagte the
roz ke dekhe hue manzar the
phir bhī har roz na.e lagte the
un dinoñ ghar se ajab rishta thā
saare darvāze gale lagte the
rah samajhtī thiiñ añdherī galiyāñ
log pahchāne hue lagte the
jhīleñ paanī se bharī rahtī thiiñ
sab ke sab peḌ hare lagte the
shahr the ūñchī fasīloñ vaale
Dar zamāne ke pare lagte the
bāñdh rakkhā thā zamīñ ne 'alvī'
ham magar phir bhī aḌe lagte the
koi mausam ho bhale lagte the
din kahan itne kaDe lagte the
KHush to pahle bhi nahin the lekin
yun na andar se bujhe lagte the
roz ke dekhe hue manzar the
phir bhi har roz nae lagte the
un dinon ghar se ajab rishta tha
sare darwaze gale lagte the
rah samajhti thin andheri galiyan
log pahchane hue lagte the
jhilen pani se bhari rahti thin
sab ke sab peD hare lagte the
shahr the unchi fasilon wale
Dar zamane ke pare lagte the
bandh rakkha tha zamin ne 'alwi'
hum magar phir bhi aDe lagte the
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 96)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.