ya Dar mujhe tera hai ki main kuchh nahin kahta
yā Dar mujhe terā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
yā hausla merā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
hamrāh raqīboñ ke tujhe baaġh meñ sun kar
dil dene kā samrā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kahtā hai bahut kuchh vo mujhe chupke hī chupke
zāhir meñ ye kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kahtā hai tū kuchh yā nahīñ 'āsif' se ye tū jaan
yaañ kis ko sunātā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ya Dar mujhe tera hai ki main kuchh nahin kahta
ya hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta
hamrah raqibon ke tujhe bagh mein sun kar
dil dene ka samra hai ki main kuchh nahin kahta
kahta hai bahut kuchh wo mujhe chupke hi chupke
zahir mein ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
kahta hai tu kuchh ya nahin 'asif' se ye tu jaan
yan kis ko sunata hai ki main kuchh nahin kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.