tamam raat chhaton par baras gaya pani
tamām raat chhatoñ par baras gayā paanī
saverā hote hī bastī meñ bas gayā paanī
piyā kī bāñhoñ meñ dulhan ko kas gayā paanī
añdherī raat meñ birhan ko Das gayā paanī
baḌā hī naaz thā apnī ḳhunuk-mizājī par
zamīñ ke tapte tave par jhulas gayā paanī
vo nāptā rahā dhartī ke sab nasheb-o-farāz
fareb-e-rāhat-e-māñdan meñ phañs gayā paanī
nahāne aa.ī thī ganda hai kah ke lauT ga.ī
kisī ko chhūne kī ḳhātir taras gayā paanī
tamam raat chhaton par baras gaya pani
sawera hote hi basti mein bas gaya pani
piya ki banhon mein dulhan ko kas gaya pani
andheri raat mein birhan ko Das gaya pani
baDa hi naz tha apni KHunuk-mizaji par
zamin ke tapte tawe par jhulas gaya pani
wo napta raha dharti ke sab nasheb-o-faraaz
fareb-e-rahat-e-mandan mein phans gaya pani
nahane aai thi ganda hai kah ke lauT gai
kisi ko chhune ki KHatir taras gaya pani
- Book : Tarana-e-Bedari (Pg. 232)
- Author : B.S.Jain 'Jauhar'
- Publication : Navrang Kitab Ghar (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.