pyar ka pahla KHat likhne mein waqt to lagta hai
pyaar kā pahlā ḳhat likhne meñ vaqt to lagtā hai
na.e parindoñ ko uḌne meñ vaqt to lagtā hai
jism kī baat nahīñ thī un ke dil tak jaanā thā
lambī duurī tai karne meñ vaqt to lagtā hai
gāñTh agar lag jaa.e to phir rishte hoñ yā Dorī
laakh kareñ koshish khulne meñ vaqt to lagtā hai
ham ne ilāj-e-zaḳhm-e-dil to DhūñD liyā lekin
gahre zaḳhmoñ ko bharne meñ vaqt to lagtā hai
pyar ka pahla KHat likhne mein waqt to lagta hai
nae parindon ko uDne mein waqt to lagta hai
jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
lambi duri tai karne mein waqt to lagta hai
ganTh agar lag jae to phir rishte hon ya Dori
lakh karen koshish khulne mein waqt to lagta hai
hum ne ilaj-e-zaKHm-e-dil to DhunD liya lekin
gahre zaKHmon ko bharne mein waqt to lagta hai
- Book : Kuchh Aur Tarah Se Bhi (Gazal) (Pg. 91)
- Author : Hastimal Hasti
- Publication : Vani Prakashan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.