jam Takrao waqt nazuk hai
jaam Takrāo vaqt nāzuk hai
rang chhalkāo vaqt nāzuk hai
hasratoñ kī hasīn qabroñ par
phuul barsāo vaqt nāzuk hai
ik fareb aur zindagī ke liye
haath phailāo vaqt nāzuk hai
rang uḌne lagā hai phūloñ kā
ab to aa jaao vaqt nāzuk hai
tishnagī tishnagī are tauba
zulf lahrāo vaqt nāzuk hai
bazm-e-'sāġhar' hai gosh-bar-āvāz
kuchh to farmāo vaqt nāzuk hai
jam Takrao waqt nazuk hai
rang chhalkao waqt nazuk hai
hasraton ki hasin qabron par
phul barsao waqt nazuk hai
ek fareb aur zindagi ke liye
hath phailao waqt nazuk hai
rang uDne laga hai phulon ka
ab to aa jao waqt nazuk hai
tishnagi tishnagi are tauba
zulf lahrao waqt nazuk hai
bazm-e-'saghar' hai gosh-bar-awaz
kuchh to farmao waqt nazuk hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.