ye dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya aawargi
Interesting Fact
Film: Maati Maangey Khoon (1984)
ye dil ye pāgal dil mirā kyuuñ bujh gayā āvārgī
is dasht meñ ik shahr thā vo kyā huā āvārgī
kal shab mujhe be-shakl kī āvāz ne chauñkā diyā
maiñ ne kahā tū kaun hai us ne kahā āvārgī
logo bhalā is shahr meñ kaise jiyeñge ham jahāñ
ho jurm tanhā sochnā lekin sazā āvārgī
ye dard kī tanhā.iyāñ ye dasht kā vīrāñ safar
ham log to uktā ga.e apnī sunā āvārgī
ik ajnabī jhoñke ne jab pūchhā mire ġham kā sabab
sahrā kī bhīgī ret par maiñ ne likhā āvārgī
us samt vahshī ḳhvāhishoñ kī zad meñ paimān-e-vafā
us samt lahroñ kī dhamak kachchā ghaḌā āvārgī
kal raat tanhā chāñd ko dekhā thā maiñ ne ḳhvāb meñ
'mohsin' mujhe raas aa.egī shāyad sadā āvārgī
ye dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya aawargi
is dasht mein ek shahr tha wo kya hua aawargi
kal shab mujhe be-shakl ki aawaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai us ne kaha aawargi
logo bhala is shahr mein kaise jiyenge hum jahan
ho jurm tanha sochna lekin saza aawargi
ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka viran safar
hum log to ukta gae apni suna aawargi
ek ajnabi jhonke ne jab puchha mere gham ka sabab
sahra ki bhigi ret par main ne likha aawargi
us samt wahshi KHwahishon ki zad mein paiman-e-wafa
us samt lahron ki dhamak kachcha ghaDa aawargi
kal raat tanha chand ko dekha tha main ne KHwab mein
'mohsin' mujhe ras aaegi shayad sada aawargi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.