palkon par hasrat ki ghaTaen hum bhi pagal tum bhi
palkoñ par hasrat kī ghaTā.eñ ham bhī pāgal tum bhī
jī na sakeñ aur marte jaa.eñ ham bhī pāgal tum bhī
donoñ apnī aan ke sachche donoñ aql ke andhe
haath baḌhā.eñ phir haT jaa.eñ ham bhī pāgal tum bhī
ḳhvāb meñ jaise jaan chhuḌā kar bhaag na sakne vaale
bhāgeñ aur vahīñ rah jaa.eñ ham bhī pāgal tum bhī
sandal phūle jañgal jaage naag phirīñ matvāle
nañge paañv chaleñ ghabrā.eñ ham bhī pāgal tum bhī
palkon par hasrat ki ghaTaen hum bhi pagal tum bhi
ji na saken aur marte jaen hum bhi pagal tum bhi
donon apni aan ke sachche donon aql ke andhe
hath baDhaen phir haT jaen hum bhi pagal tum bhi
KHwab mein jaise jaan chhuDa kar bhag na sakne wale
bhagen aur wahin rah jaen hum bhi pagal tum bhi
sandal phule jangal jage nag phirin matwale
nange panw chalen ghabraen hum bhi pagal tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.