aankhon ko phoD Dalun ya dil ko toD Dalun
aankhon ko phoD Dalun ya dil ko toD Dalun
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
āñkhoñ ko phoḌ Dālūñ yā dil ko toḌ Dālūñ
yā ishq kī pakaḌ kar gardan maroḌ Dālūñ
yak-qatra ḳhuuñ baġhal meñ hai dil mirī so us ko
palkoñ se terī ḳhātir kyūñ-kar nichoḌ Dālūñ
vo āhū-e-ramīda mil jaa.e tīra-shab gar
kuttā banūñ shikārī us ko bhañbhoḌ Dālūñ
ḳhayyāt ne qazā ke jaama siyā jo merā
aayā na jī meñ itnā kyā is meñ joḌ Dālūñ
vo sañg-dil huā hai ik sañg-dil pe āshiq
aatā hai jī meñ sar ko pathroñ se phoḌ Dālūñ
baiThā huuñ ḳhālī āḳhir ai āñsūo karūñ kyā
do chaar gokharo hī laao na moḌ Dālūñ
taqsīr 'mus.hafī' kī hove muaaf sāhib
farmāo to tumhāre lā us ko goḌ Dālūñ
aankhon ko phoD Dalun ya dil ko toD Dalun
ya ishq ki pakaD kar gardan maroD Dalun
yak-qatra KHun baghal mein hai dil meri so us ko
palkon se teri KHatir kyun-kar nichoD Dalun
wo aahu-e-ramida mil jae tira-shab gar
kutta banun shikari us ko bhanbhoD Dalun
KHayyat ne qaza ke jama siya jo mera
aaya na ji mein itna kya is mein joD Dalun
wo sang-dil hua hai ek sang-dil pe aashiq
aata hai ji mein sar ko pathron se phoD Dalun
baiTha hun KHali aaKHir ai aansuo karun kya
do chaar gokharo hi lao na moD Dalun
taqsir 'mushafi' ki howe muaf sahib
farmao to tumhaare la us ko goD Dalun
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 224)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.