wo taDap jae ishaara koi aisa dena
vo taḌap jaa.e ishāra koī aisā denā
us ko ḳhat likhnā to merā bhī havāla denā
apnī tasvīr banāoge to hogā ehsās
kitnā dushvār hai ḳhud ko koī chehrā denā
is qayāmat kī jab us shaḳhs ko āñkheñ dī haiñ
ai ḳhudā ḳhvāb bhī denā to sunahrā denā
apnī tārīf to mahbūb kī kamzorī hai
ab ke milnā to use ek qasīda denā
hai yahī rasm baḌe shahroñ meñ vaqt-e-ruḳhsat
haath kaafī hai havā meñ yahāñ lahrā denā
in ko kyā qile ke andar kī fazāoñ kā patā
ye nigahbān haiñ in ko to hai pahrā denā
patte patte pe na.ī rut ke ye likh deñ 'az.har'
dhuup meñ jalte hue jismoñ ko saayā denā
wo taDap jae ishaara koi aisa dena
us ko KHat likhna to mera bhi hawala dena
apni taswir banaoge to hoga ehsas
kitna dushwar hai KHud ko koi chehra dena
is qayamat ki jab us shaKHs ko aankhen di hain
ai KHuda KHwab bhi dena to sunahra dena
apni tarif to mahbub ki kamzori hai
ab ke milna to use ek qasida dena
hai yahi rasm baDe shahron mein waqt-e-ruKHsat
hath kafi hai hawa mein yahan lahra dena
in ko kya qile ke andar ki fazaon ka pata
ye nigahban hain in ko to hai pahra dena
patte patte pe nai rut ke ye likh den 'azhar'
dhup mein jalte hue jismon ko saya dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.