wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
vo so rahā hai ḳhudā duur āsmānoñ meñ
farishte loriyāñ gaate haiñ us ke kānoñ meñ
zamīñ pe girte haiñ kaT kaT ke sar farishtoñ ke
ajiib zalzala aayā hai āsmānoñ meñ
saḌak pe aa ga.e sab log bilbilāte hue
na jaane kaun makīñ aa ga.e makānoñ meñ
phaTe purāne badan se kise ḳharīd sakūñ
saje haiñ kāñch ke paikar baḌī dukānoñ meñ
vahīñ pighal ke na rah jaa.e merā sañg-e-sadā
ki zard zahr kā parda hai is ke kānoñ meñ
nikal ke zard charāġhoñ se zahr kā aaseb
pahuñch gayā hai mire ghar mirī dukānoñ meñ
wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
farishte loriyan gate hain us ke kanon mein
zamin pe girte hain kaT kaT ke sar farishton ke
ajib zalzala aaya hai aasmanon mein
saDak pe aa gae sab log bilbilate hue
na jaane kaun makin aa gae makanon mein
phaTe purane badan se kise KHarid sakun
saje hain kanch ke paikar baDi dukanon mein
wahin pighal ke na rah jae mera sang-e-sada
ki zard zahr ka parda hai is ke kanon mein
nikal ke zard charaghon se zahr ka aaseb
pahunch gaya hai mere ghar meri dukanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.