wo shah-e-husn jo be-misl hai hasinon mein
vo shāh-e-husn jo be-misl hai hasīnoñ meñ
kabhī faqīr bhī thā un ke ham-nashīnoñ meñ
agar hayāt hai dekheñge ek din dīdār
ki māh-e-īd bhī āḳhir hai in mahīnoñ meñ
na iḳhtilāt na vo aañkh hai na vo chitvan
ye kyā sabab ki paḌā farq sab qarīnoñ meñ
nahīñ butoñ ke tasavvur se koī dil ḳhālī
ḳhudā ne un ko diye haiñ makān sīnoñ meñ
ma.āl-e-kār vahī sab kā hai vahī āġhāz
hazār farq kareñ ḳhud-parast dīnoñ meñ
abas harīs havas se zalīl hote haiñ
amiT hai 'barq' jo tahrīr hai jabīnoñ meñ
wo shah-e-husn jo be-misl hai hasinon mein
kabhi faqir bhi tha un ke ham-nashinon mein
agar hayat hai dekhenge ek din didar
ki mah-e-id bhi aaKHir hai in mahinon mein
na iKHtilat na wo aankh hai na wo chitwan
ye kya sabab ki paDa farq sab qarinon mein
nahin buton ke tasawwur se koi dil KHali
KHuda ne un ko diye hain makan sinon mein
maal-e-kar wahi sab ka hai wahi aaghaz
hazar farq karen KHud-parast dinon mein
abas haris hawas se zalil hote hain
amiT hai 'barq' jo tahrir hai jabinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.