wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya
vo sabr de ki na de jis ne be-qarār kiyā
bas ab tumhīñ pe chalo ham ne inhisār kiyā
tumhārā zikr nahīñ hai tumhārā naam nahīñ
kiyā nasīb kā shikva hazār baar kiyā
subūt hai ye mohabbat kī sāda-lauhī kā
jab us ne va.ada kiyā ham ne e'tibār kiyā
ma.aal ham ne jo dekhā sukūn o jumbish kā
to kuchh samajh ke taḌapnā hī iḳhtiyār kiyā
mire ḳhudā ne mire sab gunāh baḳhsh diye
kisī kā raat ko yuuñ maiñ ne intizār kiyā
wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya
bas ab tumhin pe chalo hum ne inhisar kiya
tumhaara zikr nahin hai tumhaara nam nahin
kiya nasib ka shikwa hazar bar kiya
subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka
jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya
maal hum ne jo dekha sukun o jumbish ka
to kuchh samajh ke taDapna hi iKHtiyar kiya
mere KHuda ne mere sab gunah baKHsh diye
kisi ka raat ko yun main ne intizar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.