wo rula kar hans na paya der tak
vo rulā kar hañs na paayā der tak
jab maiñ ro kar muskurāyā der tak
bhūlnā chāhā kabhī us ko agar
aur bhī vo yaad aayā der tak
ḳhud-ba-ḳhud be-sāḳhta maiñ hañs paḌā
us ne is darja rulāyā der tak
bhūke bachchoñ kī tasallī ke liye
maañ ne phir paanī pakāyā der tak
gungunātā jā rahā thā ik faqīr
dhuup rahtī hai na saayā der tak
kal añdherī raat meñ merī tarah
ek jugnū jagmagāyā der tak
wo rula kar hans na paya der tak
jab main ro kar muskuraya der tak
bhulna chaha kabhi us ko agar
aur bhi wo yaad aaya der tak
KHud-ba-KHud be-saKHta main hans paDa
us ne is darja rulaya der tak
bhuke bachchon ki tasalli ke liye
man ne phir pani pakaya der tak
gungunata ja raha tha ek faqir
dhup rahti hai na saya der tak
kal andheri raat mein meri tarah
ek jugnu jagmagaya der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.