wo rang-e-tamanna hai ki sad-rang hua hun
vo rañg-e-tamannā hai ki sad-rañg huā huuñ
dekho to nazar huuñ jo na dekho to sadā huuñ
yā itnā subuk thā ki havā le uḌī mujh ko
yā itnā girāñ huuñ ki sar-e-rāh paḌā huuñ
chehre pe ujālā thā garebāñ meñ sahar thī
vo shaḳhs ajab thā jise raste meñ milā huuñ
kab dhuup chalī shaam Dhalī kis ko ḳhabar hai
ik umr se maiñ apne hī saa.e meñ khaḌā huuñ
jab āñdhiyāñ aa.ī haiñ to maiñ niklā na ghar se
pattoñ ke ta.āqub meñ magar dauḌ paḌā huuñ
wo rang-e-tamanna hai ki sad-rang hua hun
dekho to nazar hun jo na dekho to sada hun
ya itna subuk tha ki hawa le uDi mujh ko
ya itna giran hun ki sar-e-rah paDa hun
chehre pe ujala tha gareban mein sahar thi
wo shaKHs ajab tha jise raste mein mila hun
kab dhup chali sham Dhali kis ko KHabar hai
ek umr se main apne hi sae mein khaDa hun
jab aandhiyan aai hain to main nikla na ghar se
patton ke taaqub mein magar dauD paDa hun
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 26.01.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.