wo na chahe to main bina na rahun
vo na chāhe to maiñ biinā na rahūñ
vo jo chāhe to nazar bhī aa.e
vo mire saath hai saa.e kī tarah
dil kī zid hai ki nazar bhī aa.e
us se hī izn-e-safar māñgā hai
us se hī zād-e-safar bhī aa.e
us ne taufīq-e-duā baḳhshī hai
ab duāoñ meñ asar bhī aa.e
kabhī aahoñ se uThe bād-e-murād
kabhī ashkoñ se guhar bhī aa.e
wo na chahe to main bina na rahun
wo jo chahe to nazar bhi aae
wo mere sath hai sae ki tarah
dil ki zid hai ki nazar bhi aae
us se hi izn-e-safar manga hai
us se hi zad-e-safar bhi aae
us ne taufiq-e-dua baKHshi hai
ab duaon mein asar bhi aae
kabhi aahon se uThe baad-e-murad
kabhi ashkon se guhar bhi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.