wo mera yar tha mujhko na ye KHayal aaya
vo merā yaar thā mujh ko na ye ḳhayāl aayā
maiñ apne zehan kā sab bojh us pe Daal aayā
ab us ke paas koī sañg pheñkne ko nahīñ
fazā meñ āḳhirī patthar bhī vo uchhāl aayā
tamām bhiiḌ meñ ik maiñ hī pur-sukūñ thā bahut
tamām bhiiḌ ko mujh par hī ishti.āl aayā
ajab junūn hai ye intiqām kā jazba
shikast khā ke vo paanī meñ zahr Daal aayā
kal apne-āp se jab laḌte laḌte haar gayā
to ek shaḳhs kā phir der tak ḳhayāl aayā
vo be-sabab hī ḳhafā thā magar maiñ aaj 'az.har'
gale meñ us ke bhī bāñhoñ kā haar Daal aayā
wo mera yar tha mujh ko na ye KHayal aaya
main apne zehan ka sab bojh us pe Dal aaya
ab us ke pas koi sang phenkne ko nahin
faza mein aaKHiri patthar bhi wo uchhaal aaya
tamam bhiD mein ek main hi pur-sukun tha bahut
tamam bhiD ko mujh par hi ishtial aaya
ajab junun hai ye intiqam ka jazba
shikast kha ke wo pani mein zahr Dal aaya
kal apne-ap se jab laDte laDte haar gaya
to ek shaKHs ka phir der tak KHayal aaya
wo be-sabab hi KHafa tha magar main aaj 'azhar'
gale mein us ke bhi banhon ka haar Dal aaya
- Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 173)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.