wo log jo zinda hain wo mar jaenge ek din
vo log jo zinda haiñ vo mar jā.eñge ik din
ik raat ke raahī haiñ guzar jā.eñge ik din
yuuñ dil meñ uThī lahr yuuñ āñkhoñ meñ bhare rañg
jaise mire hālāt sañvar jā.eñge ik din
dil aaj bhī jaltā hai usī tez havā meñ
ai tez havā dekh bikhar jā.eñge ik din
yuuñ hai ki ta.āqub meñ hai āsā.ish-e-duniyā
yuuñ hai ki mohabbat se mukar jā.eñge ik din
yuuñ hogā ki in āñkhoñ se aañsū na baheñge
ye chāñd sitāre bhī Thahar jā.eñge ik din
ab ghar bhī nahīñ ghar kī tamannā bhī nahīñ hai
muddat huī sochā thā ki ghar jā.eñge ik din
wo log jo zinda hain wo mar jaenge ek din
ek raat ke rahi hain guzar jaenge ek din
yun dil mein uThi lahr yun aankhon mein bhare rang
jaise mere haalat sanwar jaenge ek din
dil aaj bhi jalta hai usi tez hawa mein
ai tez hawa dekh bikhar jaenge ek din
yun hai ki taaqub mein hai aasaish-e-duniya
yun hai ki mohabbat se mukar jaenge ek din
yun hoga ki in aankhon se aansu na bahenge
ye chand sitare bhi Thahar jaenge ek din
ab ghar bhi nahin ghar ki tamanna bhi nahin hai
muddat hui socha tha ki ghar jaenge ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.