vo ḳhat ke purze uḌā rahā thā
havāoñ kā ruḳh dikhā rahā thā
batā.ūñ kaise vo bahtā dariyā
jab aa rahā thā to jā rahā thā
kuchh aur bhī ho gayā numāyāñ
maiñ apnā likkhā miTā rahā thā
dhuāñ dhuāñ ho ga.ī thiiñ āñkheñ
charāġh ko jab bujhā rahā thā
muñDer se jhuk ke chāñd kal bhī
paḌosiyoñ ko jagā rahā thā
usī kā īmāñ badal gayā hai
kabhī jo merā ḳhudā rahā thā
vo ek din ek ajnabī ko
mirī kahānī sunā rahā thā
vo umr kam kar rahā thā merī
maiñ saal apne baḌhā rahā thā
ḳhudā kī shāyad razā ho is meñ
tumhārā jo faisla rahā thā
wo KHat ke purze uDa raha tha
hawaon ka ruKH dikha raha tha
bataun kaise wo bahta dariya
jab aa raha tha to ja raha tha
kuchh aur bhi ho gaya numayan
main apna likkha miTa raha tha
dhuan dhuan ho gai thin aankhen
charagh ko jab bujha raha tha
munDer se jhuk ke chand kal bhi
paDosiyon ko jaga raha tha
usi ka iman badal gaya hai
kabhi jo mera KHuda raha tha
wo ek din ek ajnabi ko
meri kahani suna raha tha
wo umr kam kar raha tha meri
main sal apne baDha raha tha
KHuda ki shayad raza ho is mein
tumhaara jo faisla raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.