wo jo ek shart thi wahshat ki uTha di gai kya
vo jo ik shart thī vahshat kī uThā dī ga.ī kyā
merī bastī kisī sahrā meñ basā dī ga.ī kyā
vahī lahja hai magar yaar tire lafzoñ meñ
pahle ik aag sī jaltī thī bujhā dī ga.ī kyā
jo baḌhī thī ki kahīñ mujh ko bahā kar le jaa.e
maiñ yahīñ huuñ to vahī mauj bahā dī ga.ī kyā
paañv meñ ḳhaak kī zanjīr bhalī lagne lagī
phir mirī qaid kī mī.ād baḌhā dī ga.ī kyā
der se pahuñche haiñ ham duur se aa.e hue log
shahr ḳhāmosh hai sab ḳhaak uḌā dī ga.ī kyā
wo jo ek shart thi wahshat ki uTha di gai kya
meri basti kisi sahra mein basa di gai kya
wahi lahja hai magar yar tere lafzon mein
pahle ek aag si jalti thi bujha di gai kya
jo baDhi thi ki kahin mujh ko baha kar le jae
main yahin hun to wahi mauj baha di gai kya
panw mein KHak ki zanjir bhali lagne lagi
phir meri qaid ki miad baDha di gai kya
der se pahunche hain hum dur se aae hue log
shahr KHamosh hai sab KHak uDa di gai kya
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 58)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.