wo jin ke naqsh-e-qadam dekhne mein aate hain
vo jin ke naqsh-e-qadam dekhne meñ aate haiñ
ab aise log to kam dekhne meñ aate haiñ
kahīñ nahīñ hai mināra na mimbar o mehrāb
mahal-sarā se haram dekhne meñ aate haiñ
tavāf-e-kū-e-suḳhan ḳhatm hī nahīñ hotā
koī nahīñ hai to ham dekhne meñ aate haiñ
aTe hue haiñ ġhubār-e-shikastagī meñ 'salīm'
jo aa.ine pas-e-ġham dekhne meñ aate haiñ
wo jin ke naqsh-e-qadam dekhne mein aate hain
ab aise log to kam dekhne mein aate hain
kahin nahin hai minara na mimbar o mehrab
mahal-sara se haram dekhne mein aate hain
tawaf-e-ku-e-suKHan KHatm hi nahin hota
koi nahin hai to hum dekhne mein aate hain
aTe hue hain ghubar-e-shikastagi mein 'salim'
jo aaine pas-e-gham dekhne mein aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.