wo hamein jis qadar aazmate rahe
vo hameñ jis qadar āzmāte rahe
apnī hī mushkiloñ ko baḌhāte rahe
vo akele meñ bhī jo lajāte rahe
ho na ho un ko ham yaad aate rahe
yaad karne pe bhī dost aa.e na yaad
dostoñ ke karam yaad aate rahe
āñkheñ sūkhī huī naddiyāñ ban ga.iiñ
aur tūfāñ ba-dastūr aate rahe
pyaar se un kā inkār bar-haq magar
lab ye kyuuñ der tak thartharāte rahe
thiiñ kamāneñ to hāthoñ meñ aġhyār ke
tiir apnoñ kī jānib se aate rahe
kar liyā sab ne ham se kinārā magar
ek nāseh ġharīb aate jaate rahe
mai-kade se nikal kar janāb-e-'ḳhumār'
ka.aba o dair meñ ḳhaak uḌāte rahe
wo hamein jis qadar aazmate rahe
apni hi mushkilon ko baDhate rahe
wo akele mein bhi jo lajate rahe
ho na ho un ko hum yaad aate rahe
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
aankhen sukhi hui naddiyan ban gain
aur tufan ba-dastur aate rahe
pyar se un ka inkar bar-haq magar
lab ye kyun der tak thartharaate rahe
thin kamanen to hathon mein aghyar ke
tir apnon ki jaanib se aate rahe
kar liya sab ne hum se kinara magar
ek naseh gharib aate jate rahe
mai-kade se nikal kar janab-e-'KHumar'
kaba o dair mein KHak uDate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.