wo chandni ka badan KHushbuon ka saya hai
vo chāñdnī kā badan ḳhushbuoñ kā saayā hai
bahut aziiz hameñ hai magar parāyā hai
utar bhī aao kabhī āsmāñ ke ziine se
tumheñ ḳhudā ne hamāre liye banāyā hai
kahāñ se aa.ī ye ḳhushbū ye ghar kī ḳhushbū hai
is ajnabī ke añdhere meñ kaun aayā hai
mahak rahī hai zamīñ chāñdnī ke phūloñ se
ḳhudā kisī kī mohabbat pe muskurāyā hai
use kisī kī mohabbat kā e'tibār nahīñ
use zamāne ne shāyad bahut satāyā hai
tamām umr mirā dil usī dhueñ meñ ghuTā
vo ik charāġh thā maiñ ne use bujhāyā hai
wo chandni ka badan KHushbuon ka saya hai
bahut aziz hamein hai magar paraya hai
utar bhi aao kabhi aasman ke zine se
tumhein KHuda ne hamare liye banaya hai
kahan se aai ye KHushbu ye ghar ki KHushbu hai
is ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
use kisi ki mohabbat ka e'tibar nahin
use zamane ne shayad bahut sataya hai
tamam umr mera dil usi dhuen mein ghuTa
wo ek charagh tha main ne use bujhaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.