wo baat baat mein itna badalta jata hai
vo baat baat meñ itnā badaltā jaatā hai
ki jis tarah koī lahja badaltā jaatā hai
ye aarzū thī ki ham us ke saath saath chaleñ
magar vo shaḳhs to rasta badaltā jaatā hai
ruteñ visāl kī ab ḳhvāb hone vaalī haiñ
ki us kī baat kā lahja badaltā jaatā hai
rahā jo dhuup meñ sar par mire vahī āñchal
havā chalī hai to kitnā badaltā jaatā hai
vo baat kar jise duniyā bhī mo'tabar samjhe
tujhe ḳhabar hai zamāna badaltā jaatā hai
wo baat baat mein itna badalta jata hai
ki jis tarah koi lahja badalta jata hai
ye aarzu thi ki hum us ke sath sath chalen
magar wo shaKHs to rasta badalta jata hai
ruten visal ki ab KHwab hone wali hain
ki us ki baat ka lahja badalta jata hai
raha jo dhup mein sar par mere wahi aanchal
hawa chali hai to kitna badalta jata hai
wo baat kar jise duniya bhi mo'tabar samjhe
tujhe KHabar hai zamana badalta jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.