vasl meñ raftār-e-ma.ashūqāna dikhlātī hai niiñd
aaj kin aTkheliyoñ se āñkhoñ meñ aatī hai niiñd
yād-e-chashm-e-surmagīñ meñ shab ko gar aatī hai niiñd
sūrat-e-murġh-e-nigah āñkhoñ se uḌ jaatī hai niiñd
furqat-e-dildār meñ sahvan agar aatī hai niiñd
aañkh se bāhar hī bāhar aa ke phir jaatī hai niiñd
ain be-hoshī hai hushyārī na samjhā chāhiye
ahl-e-ġhaflat kī to bedārī bhī kahlātī hai niiñd
karvaTeñ le le ke kahte haiñ shab-e-furqat meñ ham
kis tarah ai ḳhuftagān-e-ḳhāk aa jaatī hai niiñd
in kī furqat meñ na pūchho sarguzisht-e-ḳhvāb-e-chashm
āj-kal pā-e-nigah kī Thokareñ khātī hai niiñd
sabza-e-ḳhvābīda-e-gulshan kā jab aatā hai zikr
tab qafas meñ koī dam bulbul ko aa jaatī hai niiñd
furqat-e-dildār meñ sone ko marnā kahte haiñ
āshiqoñ meñ ḳhvāb-e-marg aise hī kahlātī hai niiñd
niiñd ko bhī niiñd aa jaatī hai hijr-e-yār meñ
chhoḌ kar be-ḳhvāb mujh ko aap so jaatī hai niiñd
kahte haiñ sonā use chauñkā na roz-e-hashr tak
is hamārī baḳht-e-ḳhufta kī qasam khātī hai niiñd
kyā ġhalat samjhe vo aa.egā phaḌaktī hai jo aañkh
aañkh meñ ḳhauf-e-shab-e-furqat se tharrātī hai niiñd
furqat-e-dildār meñ jo raat bhar aa.ī na thī
vasl meñ aatī huī āñkhoñ sharmātī hai niiñd
muntazir rakhtī hai ġhamze kartī hai aatī nahīñ
o but-e-tarsā tirī furqat meñ tarsātī hai niiñd
kū-e-jānāñ se jo uThtā huuñ to so jaate haiñ paañv
daf.atan āñkhoñ se paañv meñ utar aatī hai niiñd
garmī-e-soz-e-jigar betāb kar detī hai jab
ThanDī sāñseñ aisī bhartā huuñ ki aa jaatī hai niiñd
teġh kā phal khāyā āb-e-teġh pī kar so rahe
kasrat-e-āb-o-ġhizā se vāqa.ī aatī hai niiñd
sūrat-e-zāhid na jaago hazrat-e-dil so raho
qibla-e-man kāba-e-maqsūd dikhlātī hai niiñd
is mirī dīvāngī par ai junūñ patthar paḌeñ
aañkh ke Dhele lagātā huuñ agar aatī hai niiñd
vaah re tāsīr-e-ulfat bal be-fart-e-ittihād
ġhash pe ġhash aate haiñ mujh ko jab unheñ aatī hai niiñd
sote ho to chashm-e-baddūr āñkheñ rahtī haiñ khulī
fitna-e-bedār kyā aise hī kahlātī hai niiñd
hijr meñ sone kī aisī hī tamannā ai 'vazīr'
dekhtā huuñ us ko hasrat se jise aatī hī niiñd
wasl mein raftar-e-mashuqana dikhlati hai nind
aaj kin aTkheliyon se aankhon mein aati hai nind
yaad-e-chashm-e-surmagin mein shab ko gar aati hai nind
surat-e-murgh-e-nigah aankhon se uD jati hai nind
furqat-e-dildar mein sahwan agar aati hai nind
aankh se bahar hi bahar aa ke phir jati hai nind
ain be-hoshi hai hushyari na samjha chahiye
ahl-e-ghaflat ki to bedari bhi kahlati hai nind
karwaTen le le ke kahte hain shab-e-furqat mein hum
kis tarah ai KHuftagan-e-KHak aa jati hai nind
in ki furqat mein na puchho sarguzisht-e-KHwab-e-chashm
aaj-kal pa-e-nigah ki Thokaren khati hai nind
sabza-e-KHwabida-e-gulshan ka jab aata hai zikr
tab qafas mein koi dam bulbul ko aa jati hai nind
furqat-e-dildar mein sone ko marna kahte hain
aashiqon mein KHwab-e-marg aise hi kahlati hai nind
nind ko bhi nind aa jati hai hijr-e-yar mein
chhoD kar be-KHwab mujh ko aap so jati hai nind
kahte hain sona use chaunka na roz-e-hashr tak
is hamari baKHt-e-KHufta ki qasam khati hai nind
kya ghalat samjhe wo aaega phaDakti hai jo aankh
aankh mein KHauf-e-shab-e-furqat se tharraati hai nind
furqat-e-dildar mein jo raat bhar aai na thi
wasl mein aati hui aankhon sharmati hai nind
muntazir rakhti hai ghamze karti hai aati nahin
o but-e-tarsa teri furqat mein tarsati hai nind
ku-e-jaanan se jo uThta hun to so jate hain panw
dafatan aankhon se panw mein utar aati hai nind
garmi-e-soz-e-jigar betab kar deti hai jab
ThanDi sansen aisi bharta hun ki aa jati hai nind
tegh ka phal khaya aab-e-tegh pi kar so rahe
kasrat-e-ab-o-ghiza se waqai aati hai nind
surat-e-zahid na jago hazrat-e-dil so raho
qibla-e-man kaba-e-maqsud dikhlati hai nind
is meri diwangi par ai junun patthar paDen
aankh ke Dhele lagata hun agar aati hai nind
wah re tasir-e-ulfat bal be-fart-e-ittihad
ghash pe ghash aate hain mujh ko jab unhen aati hai nind
sote ho to chashm-e-baddur aankhen rahti hain khuli
fitna-e-bedar kya aise hi kahlati hai nind
hijr mein sone ki aisi hi tamanna ai 'wazir'
dekhta hun us ko hasrat se jise aati hi nind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.